Ek talash hai ye jindagi,
Baahon me panahon me kisiki,
Ek dhoka hai jindagi,
Intezaar me wafa ke kisiki....
Jise dhundti rahi nigahein, woh mil na saka
Jinhe milte rahe, unhe apna na sake
Arzoo me, justajoo me kisike,
Sawaalon ke dhund me khoyi hai jindagi....
Khoye rehte hai sunehre sapno me ke..
Suraj ki angraiyan lekar aaye koi
Chandni ke baahon me bhar le jaaye koi
Kya kare ke ummeed par hi kayam hai jindagi....
Tumhara khayal aaya to laga talaash khatm hui humari
Sagar ko jaise mila kinara koi
Behte aaye sadiyon se pyaas me jiske
Ek jhankar se toot gayi tanhaiyan saari....
Manzil hai meri ab raahon me tumhari
Khushiyon aur ghamo ko ab jakar mila hai ek sahara tumhara
Tootne na dena ab ye bharam humara
Ke ab to sab kuch apna tum par hai vaara....
yakeen hai duaon me ke tabhi duan ye karte hai hum....
gham na choo sake hume koi, ho kabhi na aankhein ye nam...
darti hun ke kahi choot na jaaye haathon se ye haath tumhara..
soch se bhi pare,namumkin hai jeena bin tere jindagi!!!
Monday, July 23, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment